Kehte hai duniya vo bas khayal hai,
Vajud yahan apna ban gaya sawal hai,
Logo ki nazar se dekhte rahe khud ko,
Zindagi yun auron ki hone ka malal hai.
Na samaj aaye aisi soch ka shikar hoon,
Kabse na jane apne aap ka bimar hoon,
Manch par hote hue bhi nazar nahi aata,
Zindagi ke natak ka vo lapata kirdar hoon.
Hoon abhi tanha tera khayal hai ru-ba-ru,
Haal is dil ka aaj bhi kal ke hu-ba-hu,
Zamane se bhag sakun apne aap se kahan?
bhul jaaun khud ko, to yaad rahe tu-hi-tu.
Kabhi kabhi zindagi aisi bhi lagti hai,
Ashko mein khushi ki lehar si behti hai,
Na karo ummid har ehsas jatane ki,
Mehsus gar karo to khamoshi bhi kuchh kehti hai.
Kaafir ke bhes mein fakiri ki haalat,
Labon pe gaali aur dil mein ibadat,
Ban ke mohra chal raha hoon kab se,
Kabhi to aazad ban jine ki de de ijazat.
Sapno ke jahan ki koi seema nahi hoti,
Khwaishon ko jahan ki parvah nahi hoti,
Yun to khuda hum pe bhi meharban hai,
Bas maangne par hi puri dua nahi hoti.
Har ek jazbat ko zaban nahi milti,
Har nek aarzu ko nigah nahi milti,
Muskan sajaye rakkho to duniya hai saath,
Aansu ko aankh mein bhi panah nahi milti.