Monday, April 28, 2008

PAR AAWAZ NA HUI...

Toot gaya har jaam, par aawaz na hui,
tanha hai har sham, par aawaz na hui…

Takrav-e-jazbat ke beech bhi aaj,
hamne liya tera naam, par aawaz na hui…

Tum laut gaye muh mod kar jab,
vajud hua badnam, par aawaz na hui…

Rab se mera rishta raha kuchh aisa,
pahuncha har payam, par aawaz na hui…

Iskadar zindagi woh basar kar gaya,
Ho gayi umr tamam, par aawaz na hui….

Saturday, April 26, 2008

EK BINDIYA AUR...

ek bindiya aur maang mein kanku chhod diya,
usne khud ko farz aur mujhe tanhai se jod diya...

dard bhi hain aur fakr bhi, uski biwi hone ka,
raat-e-vasl dhalte hi, sarhad ko muh mod diya...

har khayal mein fikr, har saans mein duaa rahe,
salamat rahe woh, jisne mera honsla tod diya...

jaanib-e-sarhad se jab koi paigham bhi aaye to,
rehta hain dar, kahin usne jahan to nahi chhod diya?

mulk agar yaad rakhe sab qurbaaniyan uski, to,
haasil hoga maksad, jis khatir jahan se muh mod diya...

Friday, April 25, 2008

MAA...

Kitna akela hoon
aaj is duniya ki bhid mein
reh jaati kahwahishein
dab kar dil mein...

koi nahi saath aisa jo sune ankhahi
rehta hoon gumsum, lage na man kahin
aur bhigi aankho se kabhi
jab dekhta hoon aasman ko
nazar aaye teri surat ae maa

jaise jaanti hai tu mere har haal ko
de rahi honsla apne laal ko
aur gunje kaano mein tera woh dular
sun maa, fir woh hi pyar se pukar
teri god mein chain de sone ko hoon bekarar...

kuchh pal ko aaram chahiye
jahan ke hisab-kitab se
bematlab hona hain
haar-jeet ke kheetab se

zindagi mein thodi si masumiyat lauta de,
maa, suna koi lori aur god mein sula de...

Tuesday, April 22, 2008

BAHOT HAIN KHAYAL...

Bahot hai khayal, magar kuchh saaf nahin,
raaz-e-dil chhupane ko aaj ek lihaaf nahin...

Sab saza kubul humein siva ye khamoshi,
Chahe itna hi keh do, tumne kiya maaf nahin...

Baato ko meri gaur se samjo to jaan loge,
hun insaniyat ke saath, mazhab ke khilaf nahin...

Dekh haal-e-jahan to ye hi lagta hai khuda,
Teri adaalat mein bhi milta insaaf nahin...

AB HO JAAUN PAGAL...

Ab ho jaaun paagal to jee loon zara sa,
Is haal mein to hoon kab se mara mara sa.

Aur koi nahi yahan jo meeta sake mujhe,
Apne hi vajud se hoon dara dara sa.

Aansu chhalak aaye to khali ho man,
Gham-e-uns se dil hai ye bhara sa.

Bujhi hui saanse, sehmi hui dhadkan,
Vaqt bhi apne makam par jaise thehra sa.

Mat kar TAEER sochon mein khudi barbad,
Zindagi ek raaz hai bada gehra sa.

Thursday, April 17, 2008

KEH DO KI AB TO...

Keh do ki ab to koi rishta nahi hum se,
ubhar paye dil, fir ummid ke gham se.

Hai wo hi saza mukarrar tumhare liye,
tujhsa hi rukh, tu paye naye humdum se.

Har woh gali banjar ho gayi dekho,
Khilte the gul jahan vasl-o-shabnam se.

Shikva nahi la-haasil ka taqdeer se ab to,
tohfa-e-sabak-e-isha jo mila sanam se.

Puchh kar haal ehsan na jatao tum,
TAEER udan bharega keval apne dum se.

Sunday, April 13, 2008

KUCHH TIRVENIYAAN...

Khule jab hoth, zaban fisal gayi,
ude jab hosh, umar nikal gayi,
Ab baccho ko kahaniyan sunate hain.

Main to dhal jaaunga, tu jis haal mein dhalegi,
Tere hi ikhtiyar mein ye hasti chali jayegi.
Har mausam bhi teri inayat ka paigham lage...

zindagi mein aane vale kal agar pata hota,
fir yahan koi us khuda ko na manta hota?
humein khud par hai aitbar, taqdir khud tarashenge...

Baki hai ab bhi kuchh tishnagi dil mein,
na bujhi pyas aankho ki jhilmil mein,
Nigahon mein teri vo aitbar ki kami thi...

Suna hai 'tu pyar ka sagar hai',
fir kyon tishnagi tujhe pa kar hai?
ulfat ke pani mein namak ghul gaya...?!

un dino kagaz se kashti aur kichad se ghar banate the,
bachpan ki baarish me befikra ho kar nahate the!!!
ab jo pani barse, to kapdon ki fikra hone lagti hai....

koi mazhab koi sarhad na ho to kya ho jahan?
ye dharti muskuraye jaise 'ek-rangi' aasman...
yun to insan ne pani ke bhi Tukde kar diye hai...

samandar mein jab tha, rahi dharti ki khwaish,
sochta tha ki vahan par nahi koi aazmaish.
par dhup-e-sehra mein dekho pani ki galatfahemi...

Ab jo miloge tum, to koi shikva na karenge,
bite hue kal ki baat mein lamhe na zaya karenge,
kab se na jane us kal ke intezar mein umar bit rahi...

KUCHH SHAYARIYAN...

Kehte hai duniya vo bas khayal hai,
Vajud yahan apna ban gaya sawal hai,
Logo ki nazar se dekhte rahe khud ko,
Zindagi yun auron ki hone ka malal hai.

Na samaj aaye aisi soch ka shikar hoon,
Kabse na jane apne aap ka bimar hoon,
Manch par hote hue bhi nazar nahi aata,
Zindagi ke natak ka vo lapata kirdar hoon.

Hoon abhi tanha tera khayal hai ru-ba-ru,
Haal is dil ka aaj bhi kal ke hu-ba-hu,
Zamane se bhag sakun apne aap se kahan?
bhul jaaun khud ko, to yaad rahe tu-hi-tu.

Kabhi kabhi zindagi aisi bhi lagti hai,
Ashko mein khushi ki lehar si behti hai,
Na karo ummid har ehsas jatane ki,
Mehsus gar karo to khamoshi bhi kuchh kehti hai.

Kaafir ke bhes mein fakiri ki haalat,
Labon pe gaali aur dil mein ibadat,
Ban ke mohra chal raha hoon kab se,
Kabhi to aazad ban jine ki de de ijazat.

Sapno ke jahan ki koi seema nahi hoti,
Khwaishon ko jahan ki parvah nahi hoti,
Yun to khuda hum pe bhi meharban hai,
Bas maangne par hi puri dua nahi hoti.

Har ek jazbat ko zaban nahi milti,
Har nek aarzu ko nigah nahi milti,
Muskan sajaye rakkho to duniya hai saath,
Aansu ko aankh mein bhi panah nahi milti.

AISE KUCHH SAPNO MEIN...

Aise kuchh sapno mein ab rehta hai man,
Khule aasman mein ab basta hai man.

Bevajeh hasna kabhi anjane aansu,
Khil ke apne andar bikharta hai man.

Baadlon ki khidki se jab jhankhe vo chand,
Jhum kar use thamne uchhalta hai man.

Apne hi lafzon se dhoka diya khud ko,
Khud hi chal nahi samajta hai man.

Jeet jaye TAEER jo man par ho kaaboo,
Kab talak maat de sakta hai man?

KOI ILAJ NAHIN...

Koi ilaj nahi is dard-e-zindagi ka,
Khuda kabhi to jawab de bandagi ka.

Beh jaye ashq to bujhe pyas aankho ki,
Bata koi ilaj nachar tishnagi ka.

Aaina bhi aks ki jo hasi udata hain,
Sochu kya raaz dikha use diwangi ka !

Thukra diya tumne fir bhi shikva nahi,
Sabab mil gaya humein aawargi ka.

Ud gaya TAEER aur hairan hai sab,
Chalo kabhi to ehsas hua maujudgi ka.

HAAL-E-DIL JAB KEH NA PAYE...

Haal e dil jab keh na paaye aur kaagaz pe utar diya,
Duniya ne use ghazal aur nikamma humein karar diya.

Ghav aur gehra hua marham ki ummid se,
Vaqt ki aazmaish ne tohfa e intezar diya.

Deewaron mein ghar ki kaid rehta hoon is kadar,
Aap hi se lad lad ke sabkuchh bas haar diya.

Samjega koi to kabhi paak niyat ko apni,
Behlate rahe dil, man ko jutha aitbaar diya.

Shakhsiya-e-TAEER ek aaeena hai gar dekho,
Saaf baat kehne vajud khud ka nisar diya.

DEKHUN TO DOOR TAK...

Dekhun to door tak koi nahin,
Sochun to duniya meri hai yahin.

Shamil hua jo zehnodil mein,
Bin uske aaj kho gaya hun kahin.

Dard ka nasha aur nashe se dard,
Kal tha jahan, aaj bhi vahin.

Gol is duniya mein kahan bhagu?
Thaka haara laut aata hun yahin.

TAEER teri fitrat hai kuchh aisi,
Maut talak chain paayega nahin.