Sunday, April 13, 2008

KUCHH TIRVENIYAAN...

Khule jab hoth, zaban fisal gayi,
ude jab hosh, umar nikal gayi,
Ab baccho ko kahaniyan sunate hain.

Main to dhal jaaunga, tu jis haal mein dhalegi,
Tere hi ikhtiyar mein ye hasti chali jayegi.
Har mausam bhi teri inayat ka paigham lage...

zindagi mein aane vale kal agar pata hota,
fir yahan koi us khuda ko na manta hota?
humein khud par hai aitbar, taqdir khud tarashenge...

Baki hai ab bhi kuchh tishnagi dil mein,
na bujhi pyas aankho ki jhilmil mein,
Nigahon mein teri vo aitbar ki kami thi...

Suna hai 'tu pyar ka sagar hai',
fir kyon tishnagi tujhe pa kar hai?
ulfat ke pani mein namak ghul gaya...?!

un dino kagaz se kashti aur kichad se ghar banate the,
bachpan ki baarish me befikra ho kar nahate the!!!
ab jo pani barse, to kapdon ki fikra hone lagti hai....

koi mazhab koi sarhad na ho to kya ho jahan?
ye dharti muskuraye jaise 'ek-rangi' aasman...
yun to insan ne pani ke bhi Tukde kar diye hai...

samandar mein jab tha, rahi dharti ki khwaish,
sochta tha ki vahan par nahi koi aazmaish.
par dhup-e-sehra mein dekho pani ki galatfahemi...

Ab jo miloge tum, to koi shikva na karenge,
bite hue kal ki baat mein lamhe na zaya karenge,
kab se na jane us kal ke intezar mein umar bit rahi...

No comments:

Post a Comment