Monday, April 28, 2008

PAR AAWAZ NA HUI...

Toot gaya har jaam, par aawaz na hui,
tanha hai har sham, par aawaz na hui…

Takrav-e-jazbat ke beech bhi aaj,
hamne liya tera naam, par aawaz na hui…

Tum laut gaye muh mod kar jab,
vajud hua badnam, par aawaz na hui…

Rab se mera rishta raha kuchh aisa,
pahuncha har payam, par aawaz na hui…

Iskadar zindagi woh basar kar gaya,
Ho gayi umr tamam, par aawaz na hui….

4 comments:

  1. Tum laut gaye muh mod kar jab,
    vajud hua badnam, par aawaz na hui…

    सुभानाल्लाह क्या लिखा है ..ओर आखिरी शेर भी क़त्ल है ....

    ReplyDelete
  2. बहुत खूब ताईर मिया.. बड़ी कातिलाना ग़ज़ल है..

    ReplyDelete
  3. sabhi ka honsla afzai ke liye bahot bahot shukriya...

    ReplyDelete
  4. Rab se mera rishta raha kuchh aisa,
    pahuncha har payam, par aawaz na hui…

    waah...achcha likha hai. ye sher khoob hai.

    ReplyDelete